Mujh Pay Maula Ka Karam... Mein Sadqay Ya Rasool-Allah

Sallay Ala Nabiyenna Sallay Ala Muhammadin

Sallay Ala Shafiyena Sallay Ala Muhammadin


Mujh Pe Maula Ka Karam Hai Unki Naatein Parhta Hoon

Daaman Apna Rub Ki Rehmat Se Mein Har Dum Bharta Hoon


Mein Sadqay Ya RasoolAllah

Mein Sadqay Ya HabibAllah


Dhoom Unn Ki Naa Khuwaani Ki Machatay Jayeinge

Ya RasoolAllah Ka Na’ra Lagatay Jayeinge


Na’t Khuwaani Maut Bhi Hum Se Chura Sakti Nahi

Qabr Mein Bhi Mustafa Ke Geet Gaatay Jayeinge


Kitna Bara Hai Mujh Pe Ye Ahsaan-e-Mustafa

Kehte Hain Log Mujh Ko Sana Khuwaan-e-Mustafa


Beher-e-Bakhshish Pass Apne Kuch Nahi Iske Siva

Umar Bhar Naatein Suneinge Aur Sunatay Jayeinge


Naat Khuwani Ka Nasha Nas Nas Mein Aisa Chah Gaya

Qabr Mein Bhi Geet Ubaid Ab Mustafa Ke Gayeinge


Koi Guftugu Ho Lab Per Tera Naam Agaya Hai

Tera Zikr Kartay Kartay Ye Maqaam Agaya Hai


Jissay Peekay Sheikh Sa’di Balaghal Ula Pukarein

Mere Dast-e-Na Tawaan Mein Wohi Jaam Agaya Hai


Tera Wasf Bayaan Ho Kisse Teri Kon Karega Barayei

Iss Gard-e-Safar Mein Gum Hai Jibreel-e-Ameen Ki Rasayei


Aey Raza Khud Sahib-e-Qur’an Hai Madaah-e-Rasool

Tujhse Kab Mumkin Hai Phir Midhat RasoolAllah Ki


Jitna Diya Sarkar Ne Mujhko Itni Meri Auqaat Nahi

Ye Tou Karam Hai Unka Warna Mujhe Mein Tou Aisi Baat Nahi


Ghaur Tou Kar Sarkar Ki Mujhper Kitni Khaas Inayat Hai

Kausar Tou Hai Unka Sana Khuwaan Ye Ma’mooli Baat Nahi


Gham Nahi Chordey Ye Saara Zamana Mujhko

Mere Aaqa Tou Hain Seenay Se Laganay Ke Liye


Bakhsh Dei Naat Ki Daulat Mere Aaqa Ne Mujhe

Kitnay Pyara Waseela Sarkar Ko Paanay Ke Liye


Seenay Mein Bhara Hai Teri Naaton Ka Khazana

Aalam Mein Lutata Hoon Kamayei Tere Dar Ki


Sadayein Duroodon Ki Aatei Raheingi

Jinhein Sunke Dil Shaad Shaad Hota Rahega


Khuda Ahl-e-Sunnat Ko Aabaad Rakhay

Muhammad Ka Milad Hota Rahega


Ab Ke Baras Bhi Hoonton Pe Unki Sana Rahei

Ab Ke Baras Bhi Wajd Mein Ghar Ki Fiza Rahei

Ab Ke Baras Bhi Madha Ke Khiltay Rahay Gulab

Ab Ke Baras Bhi Kasht-e-Dil-o-Jaan Sawar Rahi

Ab Ke Baras Bhi Lab Pe Taraana Tha Naat Ka

Ab Ke Baras Bhi Chaar Sou Mehki Saba Rahi

Ab Ke Baras Bhi Sheher-e-Sukhan Mein Thei Ronaqein

Ab Ke Baras Bhi Raqs Mein Meri Sada Rahi

Ab Ke Baras Bhi Shayr-O-Sukhan Se Theu Dosti

Ab Ke Baras Bhi Doston Hamd-O-Sana Rahei

Ab Ke Baras Bhi Tazkira-e-Mustafa Rahei

Ab Ke Baras Bhi Guftugu Sallay Ala Rahei


Awaaz Ubaid Teri Bafaizan-e-Naat Hee

Seenon Mein Aashiqan-e-Nabi Ke Utar Gayei

Posted Video in Islam
Login InOR Register